Writer's Blog

Transient Thoughts

Saturday, April 21, 2007

Hum ne sanam ko khat likha ...

Found this song in an 80's collection - I had heard it before, but only in snatches, and not carefully. Reminded me of the once I had written to an uncertain address. Enjoy!

Lyricist: Anand Bakshi

( Hame bas ye pata hai woh, bahut hi khoobsoorat hai,
Lifafe ke liye lekin, pate ki bhi zaroorat hai...)

Ham ne sanam ko khat likha,
Khat mein likha...
Ae Dilruba,
Dil-ki-gali,
Shehr-e-wafa.


Pahunche ye khat jaane kahan,
Jaane bane kya daastaan (2)
Us par rakibon ka yeh dar,
Lag jaaye unke haath gar.
Kitna bura anjaam ho,
Dil muft mein badnaam ho.
Aisa na ho, aisa na ho!
Apne khuda se, raat din,
Maanga kiye ham ye dua.


Peepal ka ye patta nahin,
Kaagaz ka ye tukda nahin (2)
Is dil ka yeh armaan hai,
Is mein hamaari jaan hai.
Aisa gazab ho jaaye na,
Raste mein ye kho jaaye na.
Hum ne badi taakeer ki,
Dala ise jab daak mein,
Yeh daak baabu se kaha.

****


Barson jawaab-e-yaar ka,
Dekha kiye ham raasata (2)
Ik din woh khat waapas mila,
Aur daakiye ne ye kaha:
Is daak khane mein nahin,
Saare zamaane mein nahin,
Koi sanam is naam ka,
Koi gali is naam ki,
Koi shehar is naam ka.

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home