Writer's Blog

Transient Thoughts

Sunday, March 04, 2007

Likhne waale tera jawaab nahi

A nazm by Shakeel Badayuni sung by Rafi. A new addition to my list of favourite old hindi songs:

Husn Wale Tera Jawaab Nahin,
Koyi Tujh Sa Nahin Hazaaron Mein,
Husn Wale Tera Jawaab Nahin,

Tu Hai Aisi Kali Jo Gulshan Mein,
Saath Apne Bahaar Laayi Ho,
Tu Hai Aisi Kiran Jo Raat Dhale,
Chandni Mein Naahaake Aayi Ho,
Yeh Tera Noor Yeh Tere Jalwe,
Jis Tarah Chand Ho Sitaaron Mein..
Husn Wale Tera Jawaab Nahin...

Teri Aankhon Mein Aisi Masti Hai,
Jaise Chalke Huve Hon Paimaane,
Tere Honton pe voh Khumoshi Hai,
Jaise Bikhre Huve Hon Afsane,
Teri Zulfon Ki Aisi Rangath Hai,
Jaise Kaali Ghata Baharon Mein,,
Husn Wale Tera Jawaab Nahin..

Teri Surat Jo Dekhle Shair,
Apne Sheron Mein Taazagi Bhar Le,
Ik Musaphir Jo Tujh Ko Paa Jaaye,
Apne Khwabon Mein Zindagi Bhar Le,
Nagmagar Dhundle Agar Tujh Ko,
Dard Bharle Voh Dil Ke Taaron Mein..

Husn Wale Tera Jawaab Nahin,
Koyi Tujh Sa Nahin Hazaaron Mein,
Husn Wale Tera Jawaab Nahin...

You can listen to it or download it here . They might make you register - won't take long. There's also a Sonu Nigam version on the same site. Make sure you listen to the Rafi version.

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home